code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

BBA course details in Hindi

BBA Course details in Hindi

Aaj baat karte hai BBA ki yaani Bachelor of Business Administration course ki. Yah ek undergraduate Business Management course hai. Duration hoti hai 3 saal. BBA course alag naamo se bhi kai institutes me pradaan kia jaata hai jaise BMS Bachelor of management studies ya BBS Bachelor of business studies. To aap confuse mat hoiye ye naam sunar ki bhai ye kya kuch alag courses hai.

BBA course banaya gaya hai taaki students ko business management ki education aur unki communication skills acchi ho jisse unme entrepreneurship ke skill bhi aa jaye. BBA me practical experience ke zariye jaise case studies, projects, presentations, industrial visits, experts ke dwaara diye gaye lectures ke zariye aapko sikhaya jaata hai.

Eligibility kya hai?

passed HSC (10+2) exam from any stream with English as passing subject and secured minimum 45% marks at 12th

BBA ka course India me bahut saare colleges aur universities offer karti hai.
Admission entrance test ke basis par hota hai. Isme objective-type entrance test jaise English language, quantitative aptitude and reasoning skills ke sawaal hote hai

Fees kya hai?

Har institute ya college ki alag alag fees hai. Kuch me kam aur kuch me jyaada hai. Ye Rs. 15000-60000 per year ke range me ho sakti hai. Kuch institutes me aur bhi jyaada ho sakti hai.

Kise karna chahiye:

jinko Business management me interest hai
jinki communication skills, organisational leadership skills aur decision making skills acchi ho.

BBA course students me managerial skills ko develop karta hai aur alag alag business functions ke baare me unko knowlege deta hai. Iska advance level MBA hota hai. To aage jaakar MBA jo karenge unke liye bhi ye ek accha base create kar deta hai.

Aur ek zaruri baat. BBA graduates ko ek fayda ye hota hai dusre graduates ke mukaable ki unko corporate world ki acchi training milti hai aur placements ke dwaara kaafi bar direct entry mil jaati hai corporates me.

Subjects kya kya hote hai BBA me?
BBA ka course semester ke hisaab se divide kiya jaata hai. Har saal 2 semester yaani ki 3 saal me 6 semesters. Aur har semester me aapko alag alag subjects sikhaaye jaate hai. Kuch subjects ke naam aapko bata deta hu taaki aapko ek basic idea mil jaaye:
Principles of management, Business Economics, Business Mathematics and Statistics, Business Laws, Business Data Processing, Marketing Management, Production and Material Management, Financial and management accounting, Introduction to Operations Research, Personnel management and industrial research.

Aap kahaan jobs paa sakte hai BBA ke baad:

  • Business Houses
  • Financial Organizations
  • Educational Institutes
  • Banks
  • Business consultancies
  • MNCs
  • Export Companies
  • Industrial Houses

Konse jobs mil sake hai BBA ke baad

  • Management Executive
  • Fianacial Analyst
  • Marketing Manager
  • Finance Manager
  • Business Consultant
  • Research Analyst
  • HR manager

Aur ab sabse important sawaal. Mujhe pata hai kaafi logon ke manme ye sawaal ab tak aa bhi gaya hoga ki bhai BBA karne ke baad salary kitni milegi. Dekhiye career ki shuruwaat me to salary se jyaada important aapka work profile hota hai. Sabko ek jaisi salary nahi milti. Kuch logo ko jyaada bhi mil sakti hai dusro ke mukaable agar placements me unko accha offer mila unke grades aur skills ke dam par. Par BBA karne ke baad aap normally 2 lac se 4 lac per annum ke beech me salary paa sakte hai. Aur jaise ki maine bataya agar accha placement offer mila to kuch students 5 lac, 6 lac per annum aise package bhi paa sakte hai.

Aur salary increase aage jaakar bhi ho sakti hai. Uske liye maine kaafi tips ek video me diye hai:
https://youtu.be/OHrmHZc1qKg

BBA ke baad kaunsa course?
Kaafi options hai aapke paas par MBA advanced course hai jo BBA se related hai. Aap chahen to aur bhi post graduate courses kar sakte hai apne interest ke anusaar BBA ke baad par kaafi students MBA prefer karte hai.

BBA Course details in Hindi

B.Com kare ya BBA