code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

B.Com kare ya BBA?

B.Com ke baad kya kare

12th ke baad bahut se students confused rehte hai ki Sir BCom karu ya BBA. Mujhe bhi kaafi students ne poocha ki sir BBA karu ya BCom. Konsa course better hai. To aaiye aaj is baare aapke sabhi dhundle vichaaro ko mai saaf kar deta hu.

Pehle to aapko ye bata deta hu ki BCom me students kya seekhte hai aur BBA me kya seekhte hai.
BBA me aap business management related cheeze jyaada seekhoge bcom ke mukaable. BCom me accounts ki taraf zyaada zor diya jayega.

Hamaare desh me aarthik badlaav ke kaaran naye professional course jaise BBA ya BBM introduce kiye gaye the. BBA 3 saal ka degree course hai. Ye un students ko suit karega jo apna career management sector me banaana chahte hai. BBA me aapko Business management aur entrepreneurship ke skills sikhaaye jaate hai. Iske subjects ke details maine hamaare BBA course detail wale video me bataaye hai. To aap description me wo video ka link dekh sakte ho. BBA me case studies, presentations bhi bahut hote hai to students ka involvement classroom me bahut rehta hai is course me. BBA complete hone ke baad students normally MBA choose kar sakte hai apne field me aur specialise hone ke liye aur zyaada job opportunities ke liye. BBA ke baad aur kaafi courses hai jo students kar sakte hai par kuch courses jaise MCom nahi kar sakte. BBA ke baad students company ke marketing aur sales division me as a management trainee job paa sakte hai. BBA ka course MBA ke liye ek accha foundation tayar karta hai.

BCom - Bcom bhi 3 saal ka degree course hai un students ke liye jo Finance, taxation aur accountancy me apna career banana chahte hai. BCom me aapko general business principles, finance, accounting, law aur economics jaise subjects sikhaaye jayenge. Bcom ke baad kaafi options available hai students ke paas.
BCom ke baad aapke paas masters degree me normally MCom aur MBA ke options hai. Jo students graduation ke baad ya saath me CA CS ICWA jaise professional courses karna chahte hai unke liye BCom best rahega.

BCom ke baad students jobs paa sakte hai in areas me Financial services, insurance, marketing, broking, banking, ITES, accountant assistant etc. BCom ke baad students kya kya kar sakte hai iska maine ek detail me video banaya hai jiska link bhi maine niche description me diya hua hai.

Konsa course karna hai ye depend karega is baat par ki aap graduation ke baad karna kya chahte ho. Choice poori tarah se aapka hi hona chahiye. Kabhi bhi koi bhi course is wajah se mat kijie ki uski reputation bahut hai ya aapke dost woh course kar rahe hai.

Ek baar subjects dekh lijiye ki us course me konse hai aur hamesha wo choose kijiye jo aapko karna accha lagta hai. Padhai enjoyment hona chahiye naaki tension.

See B.Com vs BBA video on youtube- B.Com kare ya BBA - Career code

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai