Single Page Application (SPA) ek web application hai jo ek hi webpage par load hoti hai, aur fir user ke interactions ke through dynamically content change hota hai without page reload. Traditional websites me, jab bhi aap kisi link par click karte hain, naya page load hota hai. Lekin SPAs me, webpage ek baar load hoti hai aur fir JavaScript frameworks (jaise React, Angular, Vue.js) ke through content ko update karte rehte hain as per user interactions.
SPAs me, initial load me jyada time lag sakta hai, lekin fir sebsequent interactions faster hote hain, kyun ki content ko server se reload karne ki zarurat nahi hoti. Ye user experience ko improve karte hain aur web applications ko desktop applications jaise interact karne ki feeling dete hain.