Software development mein, Open source matlab kya hota hai?
Open source, wah concept hai jahan software ka source code publicly available hota hai aur kisi bhi user ya developer ke liye modify karne ke liye available hota hai. Waise code ko release kiya jaata hai kuch tarah ke license terms ke under. To us license ke anusaar hi log usse use kar sakte hai. Example ke taur par kuch open source software hai Apache web server, VLC media player etc.
Open source se developers apne code ko collaboration ke zariye improve kar sakte hain.
Isse users aur developers software ko customize kar sakte hain aur apne requirements ke according software ko use kar sakte hain.
Isse software development process ko transparent aur efficient bana diya jata hai. Follow kijiye aur blogs aur videos ke liye.