Namaste doston! Aaj hum baat karenge Git ke ek important concept ke baare mein: Main Branch . Agar aap Git use karte hain ya seekhna chahte hain, toh yeh concept samajhna bohot zaroori hai. Chaliye, 2 minute mein isse samajhte hain!
1. Main Branch Kya Hai?Git mein Main Branch ek default branch hoti hai, jisme aapka primary code hota hai. Jab aap Git repository create karte hain, toh pehle se ek branch hoti hai, jo pehle master branch kehlati thi, aur ab ise main branch kaha jata hai.
2. Iska Purpose Kya Hai?Main branch ka main purpose hota hai ek stable version ko maintain karna. Is branch mein woh code hota hai jo ready hai production ke liye ya use hone ke liye. Changes ko add karne se pehle testing aur review kiya jata hai.
3. Branching Kaise Kaam Karta Hai?Git mein aap alag-alag features ya bug fixes ke liye branches bana sakte hain. Jab kaam complete ho jata hai, toh usse merge karke main branch mein include karte hain.
4. Best Practices:Main branch ko kabhi directly edit na karein.
Hamesha pull request ya code review ke through hi changes add karein.
Toh doston, yeh tha Git ki main branch ka ek chhota overview. Yeh branch aapke project ke liye backbone ki tarah kaam karti hai. Agar aapko article aur video pasand aaya, toh like karein, share karein aur naye tech topics ke liye subscribe zaroor karein channel ko youtube par jaakar. Milte hain agle article mein, dhanyavaad!