Hello doston, Web development mein, CSS kya hota hai? Aaiye samajhte hai wahi simple tarike se bahut hi short mein.
CSS ka full form to hai Cascading Style Sheets.
CSS, wo language hai jisme aap apne web pages ke design aur layout ko define kar sakte hain. HTML se pages ka structure aap define karte hai aur CSS se use presentable banaate hai.
CSS se aap apne web pages ke text, color, font, layout aur other visual elements ko define kar sakte hain.
CSS se aap apne web pages mein responsive web design implement kar sakte hai. Responsive web design kya hai wo to maine aapko bataya hi hai jisme mein aap different devices ke liye apne page optimize kar sakte hain. Taaki sabhi devices mein aapka web page sahi dikhe.
CSS se aap apne web pages ko improve kar sakte hain aur user experience ko better bana sakte hain.
Apne web pages ke design aur layout ko better banane ke liye, CSS ka use karein.