Doston Software bug, jise normally bug kehte hai wo kya hota hai?
Simple words mein kahun to Bug ek error, flaw ya fault hota hai jo ek website ya app ko thik se run hone se rokta hai. Matlab wo use waisa run hone nahi deta jaisa use run hona chahiye. Ab ye error ya fault uske design mein ho sakta hai ya development mein ho sakta hai.
Software development aur web development mein aap ok kaafi baar bug reports se deal karna pad sakta hai. Testers bugs ko raise karenge jo unko software test karte waqt milenge aur aapko un bugs ko fix karna hoga.
Bugs ko find aur correct karne ye process ko kya kehte hai? Debugging kehte hai.
Doston bugs sirf code mein ki gayi galati nahi hoti hai. Analyst dwaara requirement mein ki gayi galati bhi ho sakti hai. Jaise ek application hai aur use test karte hue tester ne ye paaya ki wo bina error ke chal raha hai lekin functionality logical nahi hai. Matlab design ke anusaar nahi hai. To wo tester ek bug raise karega, lekin usme developer ki galati nahi hogi. Wo to us analyst ki galalti hogi jisne use requirement mein galat tarah se likh diya. To ab wo analyst us requirement ko thik karega aur developer ko pass on karega.
Lekin aap simple shabdon mein sirf ye yaad rakho ki Bug ek error, flaw ya fault hota hai jo ek website ya app ko thik se run hone se rokta hai. okay?
Subscirbe kar lijiye hamare youtube channel ko aise useful videos ke liye. Dhanyawaad.