Mitron aapne Backend word to suna hai na? Backend aakhir kehte kise hai web development mein? Kya ye dikhta hai? Aaiye wahi apne simple bhasha mein samajhte hai
Web development mein front end aur backend do cheezein hoti hai. Backend develpment un saari cheezon ko kehte hai wo behind the scenes hoti hai. Parde ke peeche.
Backend jise server side bhi kehte hai un programs aur operations ko kehte hai jo server par run hoti hai. Kahan par? Server par
Jo backend par hota hai wo power karta hai frontend ko.
Backend development mein server hota hai, database hota hai (agar aapki koi static website hai database ki zarurat nahi), operating system jaise linux, windows etc.
Kuch commonly use hone wali backend languages hai ye-
C# or Visual Basic in ASP.NET environmentsTo backend karta kya hai?
Kaafi kuch karta hai lekin web development mein normally uski zimmedari hoti hai data ko store karna aur organise karna
ye sunishchit karna ki client-side par sab sahi chal raha hai
Backend communicate karta hai frontend se information receive aur send karne ke liye, jo phir web page par dikhti hai
Example bata deta hu taaki aapko easily samaj aaye-
Jab aap website par koi contact form fill karte ho aur submit button press karte ho to browser ek request bhejta hai server side ko jo hamara backend hai use, aur backend return karta hai us form ka information frontend code ke roop mein. Phir frontend us information ko browser ke zariye display karta hai
Aise hi useful videos ke liye subscribe zarur kijiye is channel ko youtube par. Dhanyawaad.