Doston software development mein ye API kya hota hai? Pata hai aapko?
API ka full form to hai application programming interface. Jab 2 ya 2 se zyaada computer programs ek dusre se communicate karte hai to wo API ke zariye karte hai. Dusre way mein kahun to API ek zariya hai 2 ya 2 se zyaada computer programs ko communicate karwaane ka. Ek computer program dusre computer program ko request bhejega aur wo dusra computer program us request ka response bhejega. Yaad rakho Computer Program ye shabd Computer Program Aur sabse zaruri Yaad rakho request aur response. Yaad rahega na, Request aur response. In do shabdon mein API ka saara saar samaya hua hai.
Aap jo itne saare websites ya applications use karte ho usme almost sabhi API ka istamaal karte hai request bhejne ke liye aur response paane ke liye.
Example batata hu ek bahut hi simpleJaise maine java mein ek program likha jo kuch users ke list ko return karega yaani users ke list ko outpute karega. Wo progam maine apne computer par ya server par host kardi. Aur use ek url ke zariye expose kar diya. Jaise www.codehindi.com/usersList
Ab main frontend mein, matlab javascript mein mere website codehindi.com par kisi page par ye url AJAX ka istamaal karke call kar sakta hu, direct nahi ajax ka istamaal karke, okay? AJAX.
to mujhe is url yaani is API se response aayega, users ka list jo ye return karta hai.
Ab is response ke saath mai jo karna chahu karunga. Jaise ise web page par dikha sakta hu mere website ke users ko.
APIs ko secure kar sakte hai tokens ke zariye.
Waise ye api kisi dusre domain par bhi ho sakti hai. zaruri nahi ke jispar aapka web app ya website hai usi par ho. Uske baare mein baadme bataunga. Okay?
Samajme aya API kya hai? Yaad kya rakhoge? Computer programs, Request, Response. Youtube channel ko subscribe kar liya hai na. chaliye dhanyawaad.