code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

Organic search results kya hota hai?

Doston aapne aksar suna hoga search engines mein Organic search results ke baare mein. To kya hote hai organic search results? Web search engines mein organic search results matlab wo search results jo paid nahi hote hai balki algorithm ke zariye aapko dikhte hai. Jaise for example jab aap google par kuch search karenge to usme aapko sabse upar sponsored search results dikhenge jo ki advertisers ne pay karke apne aapko place kiya hota hai. To wo organic search result nahi kaha jayega. Organic to wo results hote hai jo strictly algorithm ke zariye show ho rahe hai.

Reference ke liye niche ye image dekhiye

Organic search results kya hota hai

Isme upar yellow background colour mein paid search results hai aur uske niche hai Organic search results.

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai