code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

Microblogging kya hota hai?

Microblogging kya hota hai

Blogging to aapne suna hoga lekin doston ye Microblogging kya hai?

Microblogging mein obviously jaise naam se hi pata chalta hai micro-blogs likhte hai. Ek micro-blog kaise ek traditional blog se alag hai?

Micro-blog ka jo content hai wo normally chota hota hai. Jaise for example- short sentences, individual images ya video ke links etc. In chote messages ko kabhi kabhi micro posts bhi kehte hai

Waise to aapne bhi kabhi na kabhi aise chote posts to kiye honge.

Micro-bloggers kaafi saare topics ke baare mein micro-blogging kar sakte hai jaise unki life ke kuch momments ke baare mein, jaise wo ab kya kar rahe hai ya phir cars ke bare mein etc.

Aur haan Commercial micro-blogs bhi hote hai cheezon ko promote karne ke liye jaise koi website, services, ya products ya kisi ke saath collaboration karke.

Social networking sites ka apna micro-blogging feature hota hai jaise ki aapne dekha hoga status updates. Status updates mein chota sa text sentence ya kuch words likhte hai normally log. Koi bhi aise activity jisme short messages post kiye jaate hai use microblogging ke roop mein classify kiya jaa sakta hai.

Doston 2006 aur 2007 tak microblog jo word hai wo Tumblr aur Twitter jaise sites ki services ke liye use kiya jaata tha zyaadatar lekin aaj to kai social media hai jahan pan microblogging kiya jaa sakta hai

Twitter, Facebook, aur dusre micro-blogging services ab to social-media marketers ki growth se marketing and public relations ke liye platforms ban chuke hai

Micro-blogging ne information consume karne ke tarike ko kaafi hadh tak revolutionize kiya hai.

Doston micro-blogging ke fayde ke saath kuch issues bhi hai usme jaise privacy, security, aur integration.

Jaise for example 2010 mein Google ke buzz platform mein ek controversy hui thi jisme users ke jo email contacts hai wo as followers automatically publicize ho gaye the. Baadme phir google ne apne is buzz platform ke settings ko change kiya ise fix karne ke liye.

To doston ye thi thodi si jankari micro-blogging ke baare mein. Aur bhi interesting information ke liye Hume subscribe zarur kijiye hamare youtube channel Career Code ko. Dhanyawaad

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai