Marketing mein ek bahut hi important concept hai Lead generation ka. Ye business ke successfull hone ka bhi bahut hi aham hissa hai. Ye aapko aapke career mein hi nahi balki agar aap kisi bhi tarah ka business ya freelancing kar rahe hai to usme bhi kaam ayega. Aaj iske baare mein aapko kaafi important information dunga jaise ki actually mein lead generation hota kya hai, kya tarike hai iske, kaise karte hai ise.
Marketing mein Lead generation ka matlab hai business ke products ya services mein consumer ka interest jagana ya uske baare mein enquiry karne ke liye unko utsuk karwana. Matalb ki ek potential buyer laana. Potential buyer yaani ki jisne abhi tak aapka product ya service kharida nahi hai lekin uske kharidne ki process shuru ho chuki hai. Yaad rahega na Potential Buyer. Jaise aapne dukan mein ek khoobsurat packet rakh di aur customer aapse poochta hai ki wo kya hai. To wo pehla step hota hai uska product ki taraf. Chances hai ki wo wah aapka product kharid le. Par filhal wo aapke liye ek lead hoga. Bas lead generation yahi hai.
Lead generation normally kia jaata hai advertising ke zariye lekin ye organic search engine results ya existing customers ke referrals ke zariye bhi ho sakta hai.
Lead generation ke zariye jo potential buyers ya customers aapko milte hai unhe Leads kehta hai. Ab leads kaafi tarah se aap laa sakte hai jaise digitally internet ke zariye, personal referrals ke zariye, telephone calls jo telemarketers karte hai, advertisements ke zariye aur events ke zariye.
Waise ek study ke anusaar sabse zyaada use hone wala jo tarika hai lead generation ka wo hai Email, uske baad jo sabse zyaada use hone wala tarika hai content marketing, aur phir search engine aur events. Jab lead generation internet ke zariye hota hai to ise Online lead generation kehte hai.
Jab ek lead milti hai to use kisi individual ko de diya jaata hai normally follow up karne ke liye. Jaise salesperson ko. Salesperson use review karega aur dekhega ki kya wo lead potential business ke liye qualify ho raha hai. Matlab ki kya us lead se company ko business aa sakta hai? Wo ek opportunity hoti hai company ke liye business laane ki. Phir us opportunity ko kaafi stages ke through guzarna hota hai taaki company use apne customer mein badal sake.
Dhyaan aapka bhatak to nahi raha na. Waise Aise samajhna thoda mushkil hoga na. To aaiye aapko badhiya example deta hu iska. Aap bas dhyan dijiye.
Ek bank jise agar Home Loan bechna hai to wo kis tarah se lead generate kar sakte hai. Kaafi tarike apna sakti hai lekin is example ke liye hum maan lete hai ki wo apne website par ek form deti hai jisse users bharkar apna interest bata sakte hai us loan ke liye. Website par agar user aata hai aur dekhta hai for applying Home loan submit this form. Wo form mein apna naam aur number likhega aur submit karega. Aur uska email jayega company ko. Koi executive us email ko padhega aur jaan lega ki ek lead generate ho chuki hai.
To ab wo is lead ko yaani jisne wo form bhara us potential customer ko call karega aur usse kaafi cheezein poochega aur Loan ke baare mein jankari bhi dega. Ab customer agar kehta hai ki haan use loan lena hai to executive yah pehle check karega ki kya wo loan ke liye eligible hai. Agar customer ke diye gayi jankari ke anusaar agar wo eligble hai to wo uski request lega aur loan ke liye jo documents chahiye wo collect karega customer se. Phir wo use aage dusre deparments mein forward karega. Aur uske baad kaafi stages hai loan ke jaise sanction hoga loan, approve hoga ya reject bhi ho sakta hai agar document mein gadbadi ho to. Approve agar hota hai to aage disburse hoga aur phir wo bank ka customer ban jayega. Matlab ki wo ek potential buyer se ab Bank ke liye buyer ban chuka hai customer ban chuka hai. To dekha apne kaise ye stages hote hai. Ye loan ka example tha lekin baaki products ke bhi apne stages hote hai. Kisi ke zyaada stages hote hai aur kisi ke kam
To lead normally contact information hota hai ek customer ka jo aapke product ya service mein interested hai. Samaj mein aa to raha hai na?
Dekhiye Leads normally do tarah ke hote hai Marketing leads aur Sales leads Marketing leads jo hote hai wo brand-specific leads hote hai jo kisi unique advertiser offer ke liye generate kiye jaate hai. Marketing leads ek hi baar beche jaate hai.
Marketing Qualified Leads wo hote hai jo Inbound channels ke zariye aaye hai jaise Web Search ya content marketing aur aise log jinhone company ke product ya service mein apna interest zaahir kiya hai. Inka abhi sales teams ke saath interaction hona baaki hai is stage pe.
Sales leads jo generate hote hai wo demographic criteria ke basis par generate hote hai income, age, location etc. Sales leads ko phone calls ke zariye follow up kiya jaata hai normally kisi sales executive ke zariye. Sales leads ko multiple advertisers ko becha jaa sakta hai. Matlab ek se zyaada advertisers ko ise becha jaa sakta hai. Normally ye mortgage, insurance aur finance industries mein hote hai.
Sales Qualified Leads wo hote hai jise salespeople ne screen kia hota hai matlab ki check kia hota hai ki kya wo follow up karne ki criteria ko fullfill karte hai jaise unki need, budget, interest ityadi.
Ab aur interesting cheezein aapko batata hun Online lead generation ke baare mein. Dhyaan to de rahe ho na? Doston digital marketing mein Online lead generation bahut important topic hota hai. Aaiye aapko batata hu Online lead generation ke baare mein aur jo usme tarike istamaal hote hai unke baare mein.
Online lead generation Internet marketing ka ek term hai jiska matlab hai ki lead generation jo internet ke zariye hota hai.
Online mein lead generation ke kuch tarike hai-
Social media
Social networking websites kaafi aa chuki hai aaj ke yug mein. To companies lead generation ka ye mauka chodna nahi chahte hai. Kaafi log social media ka instamaal karte hai lead genration ke liye. aap dekhenge ki bahut saari companies LinkedIn, Twitter aur Facebook jaise sites par apne products ya services market karti hai. LinkedIn par companies naye candidates paane ke liye jobs ke baare mein post karti hai.
Email Marketing
Email aaj bhi kaafi zyaada use hone wala tarika hai lead generation ke liye. Aapne to dekha hi hoga aapke inbox mein kitne emails aate hone marketers ke. Email ke Marketing mein bhi kaafi techniques hai jiske baare mein mai aapko aane wale videos mein bataunga.
Online advertising
Lead generate karne ke liye online advertising ka bhi istamaal kia jaata hai.
Online advertising mein 3 tarah ke main pricing models hai jo marketers le sakte hai.
1. CPM yaani Cost per thousand ya Cost per Mile
Isme advertisers ko impressions ke liye charge kia jaata hai. Impressions matlab jitni baar log aapka advertisement dekhte hai. Jaise koi image hai online aur log use dekhte hai. Ab isme ek problem ye hai ki agar aapki audience us advertisement ko click nahi karti hai to bhi aapko charge lagega.
2. CPC yaani Cost per Click
CPM ke click na hone par bhi charge hone ki problem ko ya tarika solve karta hai. Isme aapko sirf tab charge lagta hai jab consumer aapke advertisement ko click karta hai.
3. Cost per acquisition
Isme normally do options hote hai Cost per acquisition (CPA) aur Cost per Lead (CPL).
Cost per Lead mein aap advertisers ko pay karte hai lead ke liye matlab aapke paas us insaan ka contact information aa jaata hai jo aapke product mein interested hai. Ye normally ho sakta hai kisi form ke zariye. To agar ek form hai to aap advertiser to tabhi pay karenge jab customer wo form bharta hai aur submit karta hai.
Cost per acquisition mein advertiser normally pay karte hai sale ke complete hone par jaise credit card transaction agar complete ho jata hai.
Lead generation se hi ek related topic hai Lead Nurturing jisme potential buyer ko continuously contact kia jaata hai taaki buying ke is process mein customer ko aur knowledge di jaa sake aur customer ke baare mein information updated rakha jaa sakte. Jaise jaise samay guzarta hai leads change ho sakte hai jaise for example kisi customer ka location change ho gaya ya koi aisi ghatna ho gayi ho jiski wajah se product mein uska interest kam ho gaya ho. To isliye customer ke continuously touch mein rehna padta hai. Taaki unke latest information ke anusaar unko group kia jaaye aur unke liye alag marketing strategy ki agar zarurat hai to wo implement ki jaa sake. Normally Lead Manager ka yah kaam hota hai ki wo iska dhyaan rakhe. Ya process automatic ho sakta hai systems ke zariye ya manual bhi ho sakta hai. Lekin aaj kal to automatic ho gaya hai kaafi organisations mein.
To doston umeed hai aap lead generation ke baare mein kaafi kuch jan paye honge aap is blog mein. Aur bhi marketing aur digital marketing se related topics aane wale hai. Dhanywaad.