Namaskar mitro, To mitron aapne Chatbot to suna hai na? Digital marketing aur lead generation ke liye bhi chatbots aaj ke yug mein important role play kar rahen hai. lekin Chatbot aakhir hota kya hai?
Chatbot us computer program ko kehte hai jo conversation yaani baatchit karne ke liye use kiya jaata hai bolkar ya textual method ke dwaara. Chatbot ko chatterbot, talkbot wagehra bhi kehte hai waise.
Chatbots insaano se baat karte hai alag alag madhyamo ke dwaara jaise web page par jo chat windows hote hai.
Chatbots ka main maksad hota hai consumers ko jaldi se customer service pradaan karna ya information pradaan karna.
Chatbots ko zyaada se zyaada is tarah se design kiya jaata hai ki wo insaano jaise hi vyavhaar karen aur us tarah se hi response de.
Wo aapke dwaara di gayi inputs ko database mein search karke use acche se structure karke aapko bataate hai.
Ab to artificial intelligence ke aane se chatbots ko aur zyaada humans ki tarah se interact karwa rahe hai.
Aapne to chatbots se interact kiya hoga jab bhi aap kisi product ke customer support page par jaate hai aur wahan chat window open hota hai to kaafi baar chatbots interact karte hai aur kaafi baar real humans bhi rehte hai aapko service dene ke liye.
Aise hi useful videos ke liye subscribe zarur kijiye Career Code Hindi channel ko nahi kiya hai to. Dhanyawaad.