code hindi Career blogs Courses info Digital Marketing Information technology About

Blog aur Website mein difference kya hai?

Blog aur Website mein difference kya hai?

Aksar log poochte hai ki aakhir ek blog aur ek website mein fark kya hai? Kaise blog ek website se alag hai? Kyunki kaafi logon ko ye same hi lagte hai. Agar aap koi blog ya phir koi website start karne ka soch rahe hai to aapko blog aur website ke difference ko samajhna zaruri hai taaki aap apne lakshya ko aasaani se haasil kar saken

aaj is blog mein mai aapko samjhanunga ki blog kya hota hai aur kaise wo ek website se alag hota hai.

Pehle samajh lete hai ki blog hota kya hai. Blog jo hai wo ek tarah ka discussion ya informational website hota hai. Wahan par content normally posts ke roop mein reverse chronological order mein hote hai. Reverse chronological order yaani ki naya content pehle dikhega phir uske baad ke content dikhenge. Ye normally date wise hota hai aur bullet points ya list ke roop mein dikhaya jaata hai. Blog content ko entries ya “blog posts” kehte hai.

Blogs typically ek individual ya logon ke ek chote group ke dwaara chalaya jaata hai. Isme information jo hai wo conversational style mein likhe hote hai yaani jaise aap kisi se baat kar rahe ho waise style mein. Lekin doston, aaj kal bahut se corporate blogs ho gaye hai jo bahut se information produce karte hai.

Normally blogs mein ek comments section bhi hota hai jahan par readers respond kar sakte hai

Aaiye ab hum dekhte hai ki blogs aur website mein kya fark hai

Blog ek tarah ka website hai. Blog jo hai wo naye content se regularly updated rehta hai, jo reverse chronological order mein display kiya jaata hai.

Websites jo hai wo normally static aur dynamic dono ho sakte hai jahan content pages mein organized rehte hai aur wo frequently update ho sakte hai ya nahi bhi ho sakte hai. Yaani ki kuch websites dynamically update kiye jaate hai jaise for example sports ki website ya news ki website. Aur kuch websites static hote hai jaise kisi choti company ka website hai jisme about, contact, services ke pages hai jo ki regularly update karne ki zarurat nahi hoti hai normally. Jabki blog dynamic hote hai, wo static nahi hote, aur wo usually zyaada frequently update hote hai. Kaafi bloggers bahut se articles har din publish karte hai.

Blogs waise ek bade website ka ek part bhi ho sakte hai. Kaafi baar businesses ek blog section rakhte hai apne website mein jahan wo regularly create content create karte hai apne customers ko educate karne ke liye.

Aap WordPress ka istamaal website aur blog dono ko create karne ke liye use kar sakte hai, is wajah se kaafi business owners WordPress ka istamaal karte hai apni small business website build karne ke liye

Yaani Blog ek website ya ek website ka part ho sakta hai. Lekin, sabhi websites ko blogs nahi keh sakte.

Jaise ki, hamari website codehindi.com ek blog bhi hai aur ek website bhi hai. Hamari website par dusre content bhi hai jo non-blog format mein publish kiye gaye hai jaise ki about us, contact pages.

Ab aapke man me shayad ye sawaal hoga ki Blog behtar hai ya Website – aapko kaunsa banana chahiye?

Doston ye is baat par nirbhar karega ki aapka goal kya hai yaani udeshya kya hai. Duniya ke kaafi small businesses ke traditional websites hote hai jisme pages hote hai par blogs nahi hote. Aise websites zyaadatar isliye create kiye jaate hai taaki wo business ya individual ki informational web presence rakh sake. Yaani usme unke business ya individual se related details ho sake.

Lekin ab zyaada se zyaada businesses ek blog ke potential ko samaj rahe hai aur use apne marketing strategy mein include kar rahe hai. Wo ek separate blog section rakh rahe hai apne traditional websites mein aur uske zariye wo aur zyaada traffic laane ki koshish karte hai search engines se.

WordPress sabse zyaada popular blogging platform hai aur ek bahut hi powerful content management system bhi hai. Content management system yaani ki usme by default aapko blog ya website banaane ke liye kaafi themes, plugins wagehra mil jayenge. Normally usme aapko blog ya website banaane ke liye coding karne ki zarurat nahi padegi. Wordpress mein mainly 2 content types hote hai: posts aur pages. Kaafi log jo hai wo posts aur pages mein confused ho jaate hai.

To Blog posts aur pages mein kya fark hai?

Blog posts reverse chronological order mein display hote hai kyunki usme naye posts pehle dikhte hain aur june posts baadme. (newest to oldest) on your blog page because they are timely content which means your users will have to dig deeper to view older posts.

Pages jo hai wo static type ke content hote jai jaise about page, contact page, products or services pages, home page etc.

Pages ka istamaal usually karte hai website structure aur layout banaane ke liye. Waise blogs ke side mein bhi pages ho sakte hai.

To doston is video mein aapne samjha ki ek blog aur ek website mein kya fark hai. To video acchi lagi to like karo aur share karo. Is channel par aapko agar is tarah ke aur bhi videos chahiye to niche comments dwaara hume bataaye ki kon kon se topics par aap video chahte ho. Mai milunga aapko next video mein jald hi. Dhanyawaad.

Server kya hota hai

Integrated Development Environment (IDE) kya hai