Aaj aapko BA ki ek specialisation psychology ke baare me bataunga ki specifically is course ke baad students konse job le sakte hai. Ba psychology ke kaafi students human aur social services fields me apna career banana chahte hai. Ek research ke anusaar ba psychology ke kaafi students psycology se alag fields me apna career bana lete hai. Aaiye kuch aise jobs aapko mai bata deta hu jo ba psychology ke students ko suit karenge aur jahan wah apne skills use kar payenge.
Market Researcher:
Psychology ke students statistical analysis me acche hote hai. We as a market researcher job paa sakte hai jahan we data collection, options, interview l, data analysis for survey jaise kaam kar sakte hai
Case manager:
Case managers mushkil situation me logo ko consel karte hai. Case managers ko human nature aur behavior ko samajhna hota hai. Wo treatment ko develop karne me aur recovery plans banaane me madad karte hai agar health sectors me hai to.
Advertising agents ya executives:
Adverising me target audience ko research karne ki zarurat rehti hai. Psychology ke graduates advertising career ke is role me fit ho sakte hai kyuki unko research subject ki acchi knowledge hoti hai.
Laboratory Assistant:
Laboratory assistants research me kaafi involved hote hai. We government agencies, Universities, aur private sectors me kaam karte hai logo ke behavior ko pehchaanne me.
Social Service Specialists:
Non profit organisation aur government agencies me aap social service ki field me jaa sakte hai. Waha aap community support, direct client counselling aur dusre case management jaise kaam kar sakte hai.
Teacher:
Aap chahe to teacher ban sakte hai aur schools me sikha sakte hai psychology se related subjects.
Writer:
Aap writer bhi ban sakte hai. jaise technical writer, newspaper reporter, aur copywriters etc.
Sales representative:
Psychology student hone ke naate aap client ke dimaag ko acche se padh sakte ho aur company ki sales badhaane me help kar sakte ho. Isliye agar aap chaho to sales me bhi apna carer bana sakte ho.
Agar aapko career me acchi growth chahiye aur aage jaakar aap ek licensed psychologist banna chahte hai to aap masters degree in psychology aur uske baad pHD in psychology kar sakte hai
Iske alaawa bhi aap aur posts paa sakte hai par ye maine kuch main career options aapko bataaye hai.
Toh doston ye thi information ki BA Psychology ke students ke career scope ke baare me. Aage aur bhi useful videos ayenge interviews related. Koi bhi sawaal ho to bus subscribe karke neeche comments box me likh dijiye.