Doston normally 10th ya 12th finish hone ke baad kaafi students computer course karne ka sochte hai jo private computer institutions wagehra hote hai unme. Wo khud sochte hai ya phir unke parents kehte hai karne ke liye kisi ki sunkar. Kaafi log isme zarurat na hone par bhi bahut zyaada paisa daalte hai, is umeed mein ki unko bahut fayda hoga, lekin doston paise daalne se pehle ek baar is video ko poora zarur dekhiye aur vichar kijiye.
Private computer institutions ke ye course karne se pehle kis computer course ki aapko sachmuch zaarurat hai aur kaunsa course aapko fayda dega ye jaanna aapke liye bahut zaruri hai. Dekhiye ye jo computer institutions hote hai ye kaafi chalaak ho sakte hai. Ye aapko aisa course bhi chipka sakte hai jiski aapko zarurat nahi.
Mere ek dost ke saath aisa hua tha jab usne apna 12th complete kiya tab wo computer course karna chahta tha. Use computer ke baare mein kuch bhi pata nahi tha. Use seekhna tha sirf basics aur web development. Lekin wo jis computer institute mein gaya unhone use chipka diya full computer course jo ki kaafi mehenga tha. Usme wo har topic ka thoda thoda sikha te jaise ki MS Office, web development, C programming, animation yahan tak ki hardware bhi. Use laga ki ye sab seekhna zaruri hai to usne ye course le liya. Itne mehenge course ki use actual mein zarurat thi nahi.
Institute ne bhi zyada kuch kaha nahi use guide karne ke liye. Ab ye course lene ke baad aisa nahi hai ki wo sabkuch seekh jayega. Kyunki isme wo har topic thoda thoda sikha the. To usne sab thoda thoda seekha lekin use phir course complete hone ke baad utna kuch yaad nahi raha. Jo main cheez use seekhni thi web development, wo bhi yaad nahi raha. Kyunki unko 10 mahine mein sab sikhana hota tha. To wo har topic ka thoda hi cover kar sakte the. Web development ka bhi thoda hi cover hua. Aap hi sochiye isse kya use fayda hoga zyaada?
Agar wo sirf web development ka computer course leta jo use seekhna tha. To use paise bhi kam bharne padte aur uska focus uspe hi rehta aur wo acche se use seekh paata. Use phir web development khud se kaafi research karke seekhna pada. Par us bechare ke us course mein kaafi paise lage. Wo paise bach sakte the. Use actually ye bhi laga ki wo jo private computer institution hai uska certificate use kaam ayega. Lekin aise courses mein jo aap seekhte hai wahi kaam aa sakta hai. Kyunki ye private computer institutions ke certificates job ke liye utne useful nahi hai. Kyunki ye kisi university ya college ke certificates nahi hai. Na ki kisi professional exam ke certificates. Ye sirf ek private computer institute ke certificates hai. Jo ki course complete hone par mil hi jaate hai. Ye courses tab hi karna chahiye agar sachmuch man lagaakar seekhna hai to. Warna waste ho sakta hai.
Halanki isme uski bhi utni galati nahi hai kyunki use to pata hi nahi tha is baare mein. Lekin agar use koi acche se guide karta to uska kaafi time aur paisa bach jaata. Khair koi baat nahi usne is galati se bhi kaafi kuch seekha aur mehnat karke accha career banaya. Lekin doston mai nahi chahta ki aap aisi galati karen. Isliye aapko guide karna chahta hu.
Is example se aap ye samaj gaye honge ki aapko paisa aur time wo cheez seekhne par lagaana hai jiski aapko zarurat hai aur jisme aapki ruchi hai. To aap pehle to ye dekhiye ki kya aapko sachmuch computers ke advance courses karne ki zarurat hai ya phir basics se hi kaam chal jayega. Jaise agar aapko aage Finance mein jaana hai ya Sociology mein jaana hai to aise mein aapko computers ka jo basic course hai wo chal jayega. Aapko programming, development, hardware wagehra seekhne ki zarurat nahi hai.
To ye sochiye ki computer mein kya seekhna hai aapko jaise MSOffice yaani word, excel, powerpoint ya phir aapko graphic designing seekhni hai ya web development ya C ya java programming ya hardware.
Aur ye aap kaise samjhenge ki aapko kya seekhna chahiye? Dekhiye iske liye aapko 2 cheezein khayal mein leni padegi. Ek to ye ki aapka interest kis cheez me hai aur dusra ki aap aage kis field ya industry mein kaam ke liye try karne wale hai
For example agar aapki ruchi accounting mein hai aur aage aap accounts se related degree karne wale hai to aapko MS Office mein Excel seekhna accha rahega ya accounting related koi software bhi accha hoga.
Agar aapki ruchi graphic designing mein hai to aapko Photoshop, corel draw wagehra seekhna badhiya rahega. Aap seekh kar, practice karke freelancing bhi kar sakte hai as a designer.
Doston agar aap computer related degree karne waale hai jaise BCA, BSC IT, BSc Computer Science ya BTech computer science to aapko un coursess mein sikhaya jaata hai computer ke kaafi advanced technologies. Uske liye aapko pehle se computer ki knowledge hona zaruri nahi hai. Us course mein scratch se sikhaate hai aapko.
Lekin iske bawjood bhi aap alag se private computer institute join karke seekhna chahte ho to aap pehle ye jaaniye ki aapki ruchi kisme hai jaise front-end programming, ya backend programming ya mobile development wagehra. Front end programming mein aate hai HTML, CSS aur javascript se related techonologies. Backend mein C programming, .net programming, Java Programming, Database management wagehra. Aise hi categorize karna hoga aapko.
Aur agar aap computer related koi degree nahi kar paa rahe hai, kisi kaaran se, lekin phir bhi aapko seekhna hai programming wagehra taaki aap usse related job ke liye try kar paao ya freelancing kar paao. To aap categorize karke jaise maine kaha koi ek domain ya technology chuniye jaise front end development ya phir backend development.
To mitron paise bahut hi soch samajhke kharch kijiye aap. Aapke paise aur time waste na ho isliye ye video banaya hai maine aapke liye.