Doston mujhe kaafi subscribers ne poocha ki konsa course best hai. Kisme sabse jyaada paisa hai. Tab mere dimaag me aya ki is vishay par video banana bahut hi zaruri hai taaki mere pyaare subscriber bhatke nahi marg se.
Ham dekhte hai ki hamaare aaspaas kisi ne koi bhi ek course karke acchi naukri paa leta hai to ham bhi sochne lagte hai ki hame bhi wahi karna chahiye. Par aisa nahi hai. Bahut saari cheeze analyse karni padti hai jaise usne kaha se course kia. Uski communication kaisi hai ityadi.
Bharat me bahut saare baccho ka interest unko jaldi pata nahi chal paata ya ye kahiye ki late pata chalta hai jaise graduation ke baad etc. kyuki bahut saare students ko opportunity nahi mil paati bahut saari cheeze karne ki. Jaise agar mujhe kabhi swimming karne ka muaka hi na mile to kaise pata chalega ki mujhe isme interest hai. Mujhe bhi actually late se pata chala ki mujhe writing ka shauk hai. Phir maine use thoda thoda aur develop karna shuru kia.
Apni kaabiliyat yaani ability ko analyse kariye:
Jaise suppose aapko Engineer banne ka shauk charaya par aapko maths se door rehna hai to ye kaise ho payega. Engineer banna hai to maths me to mehnat jhak maar ke karni hi padegi aur new technologies ke baare me bhi pedte rehna padega. Agar nahi kar sakte to mat chuno use, kuch aur choose karo. To ye sochlo ki aapki ability kya hai. Aap kis cheez me acche hai. Different options ke baare me research kijiye aur sabhi ko paper pe likhiye phir sochiye ki kya choose karna hai.
Apne interest ke hisaab se choose kare career. Aapka dil usme hona chahiye. Sirf isliye ki bhai isme bahut paisa hai mat socho. Paisa bahut zaruri hai mai maanta hu lekin sirf paisa nahi, interest bhi to hona chahiye na.
To doston ye the kuch tips caeer choose karne ke liye. Agar aapke man me koi bhi sawaal ho to mujhe comments dwaara zarur bataaye. Aur agar aapne Career code channel subscribe nahi kia hai to kar lijiye.