CA ko graduation karna chahiye ki nahi?
CA agar graduation ke saath karoge to behtar hoga. Iske kuch fayde aapko bata deta hu.
1. CA me multiple attempts bahut common hai. Bahut se students first attempt me clear nahi kar paate hai CA. agar aage jaakar aap CA ka course continue nahi karna chahte ho ya phir agar pass nahi ho paate ho CA me to us case me aap graduation ke zariye jobs paa sakenge. Aur bahur se students ko CA karne me kaafi samay lag jaata hai to aise case me aapki graduation poori hogi to aap job ke saath apna CA continue kar sakte ho.
2. Graduation ke baad aap masters degree courses kar sakte ho ya phir competitive exams de sakte ho jaise government jobs ke liye exams, UPSC etc.
3. Agar aap aage jaakar LLB me interested rahoge to graduation ki zarurat padegi.
4. Graduation bilkul bhi aapko tough nahi lagega agar aap CA kar rahe ho.
5. Kuch foreign countries me agar aap padhai karna chahte ho aage jaake to aapko graduation ki zarurat pad sakti hai
To doston mera sirf itna kehna hai ki agar aap asaani se CA ke saath graduation ki degree prapt kar sakte ho to kyu nahi. Bilkul CA ke saath graduation bhi kariye.