B.Com ke baad kya kare
B.Com ke exam ke baad students ke man me kaafi saare sawaal uthte hai. Sirf degree haasil karne se career me acchi growth nahi hoti. Aapko acchi knowledge aur competition se ladne ki himmat bhi zaruri hai. B.Com me main subjects jo hote hai wo hai finance aur accounting. Par aap iske alawa bhi dusre fields ke course me apply kar sakte ho jaise mass communication, journalism, marketing.
Ham aapko kuch options bata rahe hai jo aap B.Com karne ke baad apna sakte ho
-
1. M.Com - 2 saal ka course. Ye ke common course hai jo kaafi students karte hai commerce me aur knowledge prapt karne ke liye.
-
2. MBA - MBA ke liye institute ka accha hona bahut hi zaruri hai. Isliye agar MBA karna chahte ho to institute accha chuno. CAT exam dena hota hai.
-
3. CA- CA kar sakte ho B.Com ke baad par isme kaafi saal lagte hai. Agar kadi mehnat, accounts me expert ho, aur samay de sakte ho to hi karna. Josh me aakar hosh gawake CA mat karna. B.Com karne ke baad CA me ek step aap skip kar sakte ho aur directly IPCC ki exam de sakte ho. phir 2.5 saal ka articleship CA ke under karna hota hai. Aur phir Final CA exam.
-
4. Company Secretary - CS bhi accha option hai. CS me company law ki taraf jyaada zor dia jaata hai. B.Com ke baad karte ho to foundation programme skip kar sakte ho aur directly executive programme ke liye apply kar sakte ho.
-
5. Master of Computer Applications MCA - Agar aap computers me career banana chahte ho aur agar aapko FYBCom me maths subject tha to MCA kar sakte ho. 3 saal ka course hota hai. Kuch universities part time course bhi provide karti hai jo aap job ke saath kar sakte ho.
to doston yeh the kuch options B.Com ke baad. Subscribe kar lijiye career codehindi ko youtube par career advice ke liye aur bell icon press kar lijiye aage aane waale videos ki notifications ke liye. Dhanyawaad.